Dosto ajj kal har ghar mai smartphone use ho rahy hain aur smartphone mai sub sy zaida common name ANDROID hai. Iss name sy tw aap sub achi tarah waqif hon gy. Baaz dafa yeh hota hai k ghar mai aik mobile pr Internet Package available hota hai pr baki phones pr nahi hota tw is ka hal mai aaj apko btaon ga k kiesy 1 phone ka internet baki phones py use kiya jaye. Ye bohat simple hai aur mai apko step by step bataon ga Inshallah apko samajh aa jaye gi.
Tw waqt zaya kiye beghair mai apko btata hn k apny krna kya hai. Apko krna yeh hai k jis phone pr intenet available hai usko use krna hai.
1. Sub sy pehly apny us phone ki Settings open krni hain.
2. Phr Wireless And Network mai ja kr More Settings ko select krna hai.
3. Usky bad aapny Tethering And Portable Hotspot py click krna hai.
4. Yahan apko sub sy opper Portable Hotspot ka option nazar aayega us py click krien.
5. Yahan aap apni device ko Configure krien means k apny Wifi Hotspot ki settings krien.
6. Ab Portable Hotspot option ko check kr dien.
Friends yeh sub kuch krny k bad ab ap jis dosry phone py internet use krna chahty hain unka Wifi ON kr dien aur Wifi enjoy krien aur Comment and Share krna mat bholean
No comments:
Post a Comment